After a long long time, i have completely fallen in love with a song.The beautiful lyrics by Swanand Kirkire,who my husband thinks is the only person who has the potential to step into Gulzaar saab's shoes, his beautiful earthy voice, the haunting voices of Zeb and Haaniya, and the beautiful programme called "dewarists". After being away from television, this is one programme that brings me back to the tele religiously every week.
Before i go on and on..enjoy the song..
Deeshab ke tu az mehr ba baam
Mehr babaam aamada boody aamada boody
dhadkano ki taal baaje
saanson ka ek tara
aangan mein sajaye baithein
sooraj chanda taara
chalo baant lein hum zindagi
zara aaj yun kar lein
kaho kya khayal hai
ik jahan chota sa apna
ik jahan tumhara
muskaan chahe meethi ho
ya aansoon ek khara
chalo baant lein ghum aur khushi
thodi guftagoo kar lein
kaho kya khayaal hai
aap se do baat kar lein
yaadon ko jebon mein bhar lein
aaye hain hum kuch dino ke baad
yaaron ki saubat mein aake
dheere se kuch gunguna ke
yuhin kat jaate hain din aur raat
muthi mein tum bheench lana sawan hara
ek dhanak tum bhi tod lana falak se zara
muthi muthi baant lenge kirnon ka katra
ik sikka dhoop humse lena gar kam laga
betuk hi bematlab hans le hum
kyun na is lamhe mein
haan jee lein hum
chalo baant lein hum zindagi
zara aaj yun kar lein
kaho kya khayaal hai